Monday, June 19, 2006

Prem Par Dou Kavitaaein-

Saathiyon,
samkaaleen sahitya ki pustakein padhte-padhte kabhi kabhi kuch aisi kavitaaein saamne aa jaati hain,jinhe padh kar ye lagta hai ki isse acchi sach-bayaani nahi ho sakti.Aisi hi dou kavitaaein,"Kathaadesh" aur "Naya Gyanodaya" mein prakaashit hui thee,pesh hain khaas aap sab ke liye-

Deh
------

Deh to aakhir deh hai,
kaun nahi jaanta,
purush kay shareer ki banaawat,
kaun anabhigya hai stree deh ki sanrachna se?

Lekin aajkal jitni door tak nazar jaati hai,
ek prachand aakraman ki tarah,
deh hi deh nazar aati hai !

koi lai nahi,
koi komaltaa nahi,
hridaya ke sabse praacheen tat par,
kisi pad-chinha ko sanjo kar rakhne ki vikaltaa nahi,
deh se paray,
kisi agyaat aalok ke shparsh ke liye,
koi sapnaa nahi,
ous se bheegay ki tarah,
prem se bheegay phool ki tarah,
prem se bhaari hokar,
ghaas kay samaan jhuk jaane ki kamnaa nahi,

Restraan se lekar,
room tak jaane mein jitna samay lagtaa hai,
agar keh saktein hain,
to utna hi bachaa hai,
humaare yug mein,

Romance !

-Krishna Mohan Jha


Prem-
-------

Jo kehte hain prem parakaashthaa hai,
way galat hain,
jo kehte hain prem aandolan hai,
way galat hain,
jo kehte hain prem samjhauta hai,
way bhi galat hain,
Jo kehte hain prem samarpan hai,
way bhi galat hain,
jo kehte hain prem paagalpan hai,
way bhi isey samajh nahi paaye,
Prem inme se kuch bhi nahi hai.

Prem ek samjhautaa hai,
jo dou log aapas mein karte hain,
dar-assal prem ek saudaa hai,
jismein mol-bhaav ki bahut gunjaaish hai,

prem juaa hai,
jo paristhiti ki chaupad par,
zaroorat ke paanson se khelaa jaata hai !

-Akanksha Paare

No comments: