Saturday, February 25, 2006

A poem on Farewell

I wrote this Ghazal and dedicated it to my seniors in IME.The ghazal is-

Humsafar chor kar jo bhi jaate rahe,
Har ghari har pehar yaad aate rahe,

Manzilon ki taraf uth gaye paon jo,
ye deeewar aur dar, aur ye ghar umra bhar,
deke aawaaz unko bulaate rahe,

Hichkiyon ki zuban tum na samjhay kabhi,
Hum hichkiyon se hi tumko bulaatey rahe,

a couplet for the teachers-

Unkay qadmon me ye aasmaan bhi zhuka,
Sir mandiron ke jo aage jhukaate rahe.

Enjoy!

Friday, February 17, 2006

A very Special poem

I generally dont write poems on love and associated issues, but below is one of my poems which i wrote for some one very special, i also gave it to her,but i was broken down after that incident, imagine what could have happened.......?
Akanksha*
---------------

Meri zindzgi,
majhdhaar mein nav ki tarah,
taptee ret mein paanv ki tarah
soonsaan raste ke padav ki tarah,

Aur tum

jeth mein chaanv ki tarah,
mere geeton mein bhav ki tarah,
shehron mein gaon ki tarah,
ganga mein bahaav ki tarah,

Meri zindagi
Gehri ghanghor niraasha,
dukh ka nirbedh kuhaasa,

Aur Tum

sakshaat haas ho,
pratyaksh ullas ho,

Antatah:

Poorn yadi kabhi ho paaoonga,
kaaran tujhko hi maanoonga,
jo bhi sunder surbhit shobhit,
sab bimb tumhaara jaanoonga,

sesh yahi bas ek akanksha,
mile prem ki tumse bhiksha,
hui agar niyati ki iccha,
hogi poori meri akanksha.

*Copyright -Ritesh tripathi

Wednesday, February 15, 2006

Dushyant kumar aur Hindi ghazal :

Doston,

Dushyant kumar ek aisi shakshiyat hain, jinka yogdaan hindi sahitya me bhulaaya nahi ja sakta.Unka janm uttar pradesh ke bijnaur me hua tha.Samkaaleen rajneeti,samaajik vyavstha adii par unki lekhni is kadar teekhi thi ki Indira gandhi sirkaar ne emergency ke samay unko jel bhijwa diya. lagbhag 45 warsh ki awastha me hi unki mrityu ho gai. Aaiye padhte hain unki kuch rachnaayen-

"Mut kaho aakash me kuhraa ghana hai,
yeh kisi ki vyaktigat aalochana hai,
surya to humne bhi nahi dekha subah se,
surya ka kya dekhna hai".

"Kaun kehtaa hai aasmaan me soorakh nahi ho sakta,
ek patthar to tabeeyat se uchaalo yaron".

"Ab kisi ko nazar aati nahi koi deewar,
ghar ki deewaron par chipke hain itne ishtehaar,
is siray se uss siray tak sub shareekay jurm hain,
aadmi ya to zamaanat par riha hai ya pharaar".

Naari saundarya par unki bhavabhivyakti dekhen-

"Main jise odhtaa bichaata hun,
wahi ghazal aapko sunaata hun,

ek jungal hai teri aankhon me,
jahan main raah bhool jaata hoon,

Tu kisi rail si guzarti hai,
main kisi pul sa thartharaata hun,

Ek baazu kat gaya jub se,
aur zyaada wazn uthaata hun"
- Dushyant Kumar

Enjoy the couplets and post ur views.

One of my poems,which i have written way back in 1998

Chubhti rahin phaans si
dil mein tanhaaiyan,
ye waqya pehla nahi
ki
hai milin ruswaiyan,
Zindagi phool se shool ho gai,
Phir ek baar humse,
Muhabbat ki bhool ho gai.

Tuesday, February 14, 2006

Hiiiiiiiiiiiiii friends

This is a new Blog where u can contact me, share your ideas and a lot many more activities. you can ask me anything from Philosophy,hindi literature, poetry, sales and marketing etc. as and when needed.

Regards-
Ritesh tripathi "Manthan"